Abi kuch nehi badla




Abi kuch nehi badla 
Darakhtoon pe wohi mosam 
abi tak muskuratey hain 
Abi tak surmaii shamain 
humarey sath roti hain 

Abi tak mere hontoon pe 
Tumharey Ehmarii hontoon ki 
Khushbu raqass karti hae 
abi tak meri aankhoon mein 
Tumharey khab bastey hain 

Abi tak mere hathoon pe 
tumhari naram ungliyuon k 
naram poroon se likhey sab haraf baqi hain 
Abi tak mere seney mein tumhari saanas chalti hae 
Abi toh rastoon par 
dhudhyaa pehroon se parney waley sarey naqsh qayam hain 

Abi almariyoon mein sarey tohfey ghungunatey hain 
Tumharey khat abi bi raat ki tanhaai mein 
Mujh se baatian kartey hain 
Bohat se saal guzrey hain 
Bohat sa wqat bita hae 
Meri chahat nehi beeti 
meri himat nehi guzrii 
abi bi kuch nehi badlaa 
Abi bi kuch nehi badla 
Agar chahoo 
Agar samjhoo 
Meri maanoo toh 
Loot aao 
Abi kuch nehi badla

Tum Ne To Keh Diya


Tum Ne To Keh Diya K Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye B Kehne Ki Fursat Nahi Mili

Neendon K Dais Jaty
Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalany Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko to Khair Shehr Walon Ka khoof Tha
Or Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili

Phr Ikhtlaf-e-Raye Ki Sorat Nikal Pari
Apni Yahan Ksi Se B Aadat Nahi Mili

Be'Zaar Yon Hoe K Tere ehd Me Humain
Sb Kuch Mila
Sakoon Ki Dolat Nahi Mili

Koi Waqt Purana Yaad Aya


Koi Waqt Purana Yaad Aya !!
Phir Dour Sohana Yaad Aaya !!
Or Chupkay Se In dewaron Pe !!
Kuch Likh Kar JanaYaad Aaya !!
Tera Milna Neend Ki Chaaon Mein !!
Or Sir Rakh Dena Kandhay Per !!
Mera Ye Kehna Koi Dekh Na Le !!
Tera Wo Ghabrana Yaad Aaya !!
Aisa Bhi Tu Aksar Hota Tha !!
Mein Tuj Ko Chorne Jata Tha !!
Barish ki Bheegi Raaton Mein !!
Tera Hath hilana Yaad Aaya !!
Wo Waqt Gaya Betay Lamhe !!
Ab Her Janib Tanhai Hai !!
Bas Ek hi Manzar Ankhon Mein !!
Tera Chor Ke Jana Yaad aaya !!

Teri Yaad



Zehn k khayalon mein

Rooh k ujalon mein

Zindagi ki jheelon mein

Zaat ki faseelon mein

Ratjagon k daman mein

Khawahishon k aangan mein

Dil k khushk sehra mein

Chashm-e-tar k darya mein

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi

Aur khuch nahin rehta
"
Teri Yaad Rehti Hai"

Tere Rukhsar Se



Tere Rukhsar Se Barh Kr
Kanwal To Ho Nahi Skta
Muhabbat Ka Koi Name-ul-Bdal To Ho Nahi Skta

Ajab Ek Masla Hy Ishq B
Kya Kijiye Is Ka
K Teri Sard'Mohri Se
Ye Hal To Ho Nahi Skta

Ksi Ki Aankh Se Hum'Sukhan Thi
Or Main Chup Tha
Mera Khamosh Rehna
Be'Mahal To Ho Nahi Skta

Hum Apni Khwahishon Ko
Dil Hi Dil Me Maar Dete Hain
Humary Jesa Koi  Khush'Amal To Ho Nahi Skta

Rafaqat Zindagi Bhar Ki
B Na Kafi Hy Ulfat Me
Muhabbat Ka Sila Do'Chaar Phal To Ho Nahi Skta

Mere Kirdar Me Koi Kharabi Ho To Ho Lekin
Mere Emaan Me Koi Khalal
To Ho Nahi  Skta

Main tera ajj hoon kal par nah



Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe 
main tera roop hoon joban main hi sanbhal mujhe 

mere hi dum se hain teri yeh dharkanai'n zinda 
main tera qalab hoon siney se mat nakal mujhe 

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe 
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe 

milain gay mujh main mohabat ke goher tujh ko 
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe 

tu dharkanoo'n ko chorane ke fun se waqaf hai 
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe 

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera 
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe 

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par 
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

Main tera ajj hoon


Main tera ajj hoon kal par nahi dekh taal mujhe
main tera roop hoon zoban main hi sanbhal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanai'n zinda
main tera qalab hoon siney se mat nakal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain ** mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoo'n ko chorane ke fun se waqaf hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

Mohabbat Rog Hoti Hai


Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha, 

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar, 
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ise Tum Dilki Dharti Ka Pata Mat Do, 
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha, 

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad Gam Ki Rutt, 
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha, 

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil, 
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha, 

Azal Se Iski Fitrat Hai Zamane Ko, 
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha, 

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi, 
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...

Dard-E-Dil Mein


Dard-E-Dil Mein KaMi Na Ho Jaye,
Dosti DushaMni Na Ho Jaye,

TuM Meri Dosti Ka DaM Na Bharo,
AasMan Muddayi Na Ho Jaye,

Baitha Hoon HaMesha Rindon Mein,
Kahin Zaahid Vali Na Ho Jaye,

Apne Khu-E-Wafa Se Darata Hoon,
AashiQui Bandagi Na Ho Jaye...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...