Dard Kia Hota Hai Batain Gain


Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gain Kisi Rooz

Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gain Kisi Rooz

ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gain Kisi Rooz

Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gain Kisi Rooz

Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gain Agar Lout Hi Ayein Gain Kisi Rooz

Apnay Sittam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gain Kisi Rooz

tum ne poocha k,


tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!

sahefoun main muqaddar


sahefoun main muqaddar k likha is zaat ka dukh hay
mujhe duniya main jo dukh hay inhe safhaat ka dukh hay

mujhe milney se pehlay kho gaya to ye mujhe dukh hay
hazaroun maat jhaili hain , magar is maat ka dukh hay

kabhi poocha jo us ne dukh mera to keh diya main ne
azl se piyasi mitti hoon mujhe barsaat ka dukh hay

ye din to jaisey bhi kat jaye ga dhal jaye ga aakhir
mujhe to raat ka dar hay mujhe to raat ka dukh hay

wo jis ki chah main barbaad main ne kar liya khud ko
faqat itna kaha us ne tere halaat ka dukh hay

mere jazboun ki ungli chore kar dil pe zakham rakha
mujhe dil ki nahi parwah mujhe jazbaat ka dukh hay

tere aankhain kahain kuch bhi mujhe us ki nahi parwah
tere lehjay ne kehdi jo mujhe us baat ka dukh hay

Mujhe kitne hi barson


Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh
Yeh kaisa zulam hay k ajnabi gardanta hay woh

mere hathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsa tha
Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh?

Magar phir bhi usay apna banane k gumaa,n mein hon
Mujhe maloom hay k kab kisi ki maanta hay woh

Shahara mangta hay sirf tanhayi k lamhon mein
Muhabat ka taluq kab kisi se bandhta hay woh

Main is duniya k har ik jabar ko phir bhool jata hon
Jab apne qurab se mere din ko dhanphta hay woh

Mera dil chahta hay Uss ko seene se laga lon main
rida e ghum ko apni rooh pe jab tanta hay woh

Mujhe jab dukh milein tu kis qadar khushiyan manata hay
Chalo wasiq kisi terha to mujh ko manta hay woh

Isss chand ko kia hoa hay



Isss chand ko kia hoa hay 
Kiyon yeh itna murjaya hoa hay 
Iss ki chandni main itni sogwariyat kiyon hay 
Kia iss ko bhi dukah hay 
Apni chandni se juda hone ka
Han shied is ki pechan hi chandni se hay
Dukh kis terah na ho iss ko 
Her rat ke bad iss ko bhi to juda hona perta hay
Apna app khona perta hay
Kiyon ke chandni ke bagir is ki koi pechan naih 
Yeh sirf aik pather ho jata hay
To kia tare bad 
Meri bhi koi pechan naih ho gi
Muje bhi pather hona pare ga
Chand ko to uss ki chandi mil jati hay
Her rat 
Lakin mere nasib man to shied 
chand graiyon ka bhi milen naih hay
to kia muje apna app khona pare ga
muje bhi pather hona pare ga

Na Jane Dhondhte Kya

Na Jane Dhondhte Kya Ho Meri Weeran Aankhon Mein,
Chupa Rakhe Hein Hum Ne Tou Kai Toofan Aankhon Mein,

Kahan Wo Shokhian Pehle Si, Ab Kuch B Nahi Baqi,
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne Be-Jaan Aankhon Mein,

Tumhara Zarf Tha Tum Ko Mohabbat Yaad Na Aai,
Jalaya Tha Mohbbat Ka Diya Hairan Aankhon Mein,

Na Samjho Chup Hein Tou Tum Say Koi Shikwa Nahi Baqi,
Hum Apne Dard Ki Rakhte Nahi Pehchaan Aankhon Mein...
 

Guzar gaee raat


Guzar gaee raat aankhon aankhon main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main

Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon main

Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon main

Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main

Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main

Meri Aankhon K Samandar


Meri Aankhon K Samandar Main Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pe Charaghon Ki Roshni Bhi Nahin
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Main Ghhutan Kaisi Hai

Barf K Roop Main Dhal Jaaenge Saare Rishte
Mujh Se Pouchho K Mohobbat Ki Agan Kaisi Hai

Main Tere Wasal Ki Khuwahish Ko Naa Marne Dunga
Mosam_E_Hijr K Lehje Main Thakan Kaisi Hai

Regzaaron Main Jo Bunti Rahi Kaanton Ki Rida
Usski Majboor Si Aankhon Main Kiran Kaisi Hai

Mujhe Maasoom Si Larki Pe Taras Aata Hai
Usse Dekho Tau Mohobbat Main Magan Kaisi Hai

Alfaz k jhoote bandan main



Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai

halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain

ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain

ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain

har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai…

Khuwab Jhoote Kisi Ko


Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte

Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte

Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna

Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte

Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil

Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte

Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main

Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte

Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen

Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte

Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki

Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte


Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte 

Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte 

Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna 

Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte 

Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil 

Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte 

Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main 

Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte 

Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen 

Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte 

Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki 

Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

Aik shararat karte hain,


Aik shararat karte hain,
Aao muhabat karte hain,
Hansti ankhon se keh do,
Dariya hijrat karte hain,
Kuch dil aise hain jin par,
Hum bhi hukoomat karte hain,
Koi bat to hai mujh main,
Dushman bhi izzat karte hain,
Zinda rehna hai dushwar,
Achaa.. to himat karte hain,
Waise hotay nahi hain log,
jaise chahat karte hain,
Aksar apne aap se hum,
Teri shikayat karte hain..!!

Tumhe hum kitna payar


Tumhe hum kitna payar karte hai
mujh se jayda kabhi tum mujhe jante the
Dil me aata hai aaj tujhko mai bhi bata du
Bin tere hum jeete na marte the
Aaj mai tumse kuchh khafa-khafa hu
Hai tere manane ka intzar jo hum pahle bhi karte the
Fasle pahle to itne kabhi na the
Mai wahi hu jisse tum payar kiya karte the
Mana ki ye gam hai koi saugaat nahi
Zakham to pahle bhi is dil par laga karte the
Jee me aata hai aaj mai bhi tumhe tadpa du
Kabhi tum bhi mujhe bahut tadpaya karte the
Dard jo tumne mujhe diya wo mai tujhe lauta du
Mai tumhari hasil-e-armaan hu ye tujhko bata du
mere hum-naseen kabhi tum mujhe bataya karte the

Main Wohi Hoon Jisse TuM Pyaar

Main Wohi Hoon Jisse TuM Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Baar Mera NaaM Liya Karte The,

Kya Baat Hai Kyon Mujhse Khafa Baithe Ho,
Kya Kisi Aur Ko Dil Apna De Baithe Ho,

Faasle To Pehle Na Hua Karte The AnMol,
Main Woh Hoon Jispe TuM Aitbaar Kiya Karte The,

Mujhko MaluM Hai GaM Hai Koi Saugaat Nahi,
TuM Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi,

Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi,
ZakhM To Pehle Bhi Is Dilpe Laga Karte The,

Main Wohi Hoon Jise TuM Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Bar Mera NaaM Liya Karte The...

mere aangan mein kabhi phool


mere aangan mein kabhi phool khila kerte the
meri ankhon me bhi khawab basa kerte the,

muje halat ki aandhi ne giraya warna
mere saaye mein bhi kuch loog raha kerte the,

hein yaad hmein rafaqat ki wo ghehrayin ab bhi
dil ki dharkan bhi tere sath suna kerte the,

aaj woh mehfil mein anjaan baithy hein
jo kabi muje apni jaan kaha kerte the,

ab trasti hein teri deed ko ankhin
ek zamana tha hum roz mila kertay the

Ham Se Kia Pochte Ho


Ham Se Kia Pochte Ho Hijr Mein Kia Kerte Hein
Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Kerte Hein

Ab Koi Hont Nahi In Ko Churane Ate
Meri Ankhon Mein Agar Ashk Hua Kerte Hein

Teri Tu Jane, Per Ai Jan-E-Tamna Ham To
Saans Ke Sath Tujhe Yad Kerte Hein

Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahin
Dhoop Mein Beth Ke Akhbar Parha Kerte Hein

Teri Tasveer Laga Lete Hein Ham Seene Se
Phir Tere Khat Se Teri Baat Kerte Hein

Gar Tujhe Chorne Ki Soch Bhi Aye Dil Mein
Ham To Khud Ko Bhi Wahin Chor Diya Kerte Hein

Anjaany mein hum kisi sy wafa


Anjaany mein hum kisi sy wafa kar bethy hein 
Apny dil ki har baat ussy bata bethy hein 

Uss ki talaash mein itni door nikal gye 
Kih wapsi ka rasta hai ganwa bethy hein 

Woh na mila par itna zroor hoa kih 
Ussy dondty dhonty khud ko ganwa bethy hein 

Mil kar us sy kya khoya kya paya hum ne 
Ussy yad karty karty khud ko bhula bethy hein 

Shaid us py bharosa kuch zyada kar bethy 
Jo aaj tak khud sy chhupaya ussy suna bethy hein

Baray masoom jazbon sy



Baray masoom jazbon sy
Wo apny shookh haathon per
Wafa ki surkh mehndi sy
Usi ka naam likhti hai
Jisy wo pyar krti hai
... Mgr wo na samjh larki
Abhi tak ye nahi samjhi
K sapny toot jain to
Bohat barbaad krty hain
Ye ujhlay rang haathon per
Kabhi tehra nahi krty
Mohabbat to haqeeqat hai
Koi sapna nahi hota
Kisi ka naam likhny sy
Koi apna nahi hota 

Diya khud sy bujha dena


Diya khud sy bujha dena,
Hawa ko or kya dena...?

Stary nochny walo,
Falak ko aasra dena...!

Kabhi is tor sy hansna,
K dunya ko rula dena...!

Kabhi is rung sy rona,
K khud pr muskura dena...!

Main teri dastras chahon,
Mujhy aesi dua dena...!

Main tera barmla mujrim,
Mujhy khul kar saza dena...!

Main tera munfarid sathi,
Mujhy hat kar jaza dena...!

Mera sar sb sy ooncha hy,
Mujhy maqtal naya dena...!

Mujhy acha laga Mohsin,
Usy pa kar ganwa dena...!

Ek Jaam Mohbbat kaa Aankho se



Ek Jaam Mohbbat kaa Aankho se pilaa dena
Mujhe Aaj nahi’n shaQi tu kal bhulaa dena

Jab Zikr mohabbat ka mehfil meiN aa jaye
Nazare jhuka ker tum aapna ikrar jataa dena

Tere ishq se mehmaa haiN, yeh meri duniya
Thukara ker mujhe tum kafiir na banaa dena

Jab dard judai ka tumhe bhi lage satanee
Meri tarah tum bhi AshQ naa baha dena

Pass jab tu aati haiN,kheel sa jata mausam
Bin uske jiiyu ek pal bhi,rab aisa na banaa dena

IshQ ke rahooN maiN gar wafa na nibha saka
Tu mout se badh kar mujhe koi aur sazaa dena

Teri ek pal ki bhi judai naa ab seh payege ------
Meri khawabo se jakar mujhe shayar na banaa dena

Main Tum Ko Chahta Hoon



Main Tum Ko Chahta Hoon
Junoon Ki Dehshat Main
Jaan Se Ghuzar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Janta Hoon
Rooh K Bay Unt Saagar Main
Utar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Poojta Hoon
Mohabbat Ki Haseen Devii Se
Sir Takra K Mar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Souchta Hoon
Kabhi Duniya Kabhi Khud Se
Magar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Dekhta Hoon
Faseel Dard Par Rakhay
Mehaktey Khuab Ki Khushboo
Bikhar Jane Ki Had Tak
Yakin Janoo K Main Ye Jurm
Ek Pal Main Hazaroon Baar Karta Hoon
Tumhain Maloom Hota Kaash
K
Main Tum Se Kitna Pyaar Karta Hoon

Hum nazuk nazuk dil waley



Hum nazuk nazuk dil waley


Kabhi hastey hain kabhi rotey hain
Kabhi dil mein khwab parotey hain,
Kabhi mehfil mehfil phirtey hain,
Kabhi zaat mein gum ho jatey hain,
Kabhi chup ki mohar sajatey hain,
Kabhi geet labon par atey hain,
Kabhi sab ka dil behlatey hain,
Kabhi khud tanha ho jate hain,
Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain,
Kabhi lambi taan k sotey hain,
Hum nazuk nazuk dil waley
Bas apney aap mein rehtey hain..

Sochnay samajhnay say,




Sochnay samajhnay say,
sath sath chalnay say,

doriyan simat ti hain,
faslay nahi chaltay,

khawab khawab ankhon main,
ratjagay nahi chaltay,

darguzar k halqay main,
maslay nahi chaltay,

dosti k raston ki,
parwarish zarori hai,

dosti k rastay main,
khafgiyan nahi chalti,

do dilon ki qurbat main,
Teesra nahi hota,
wastay nahi chaltay

Mujh ko meri zaat kay



Mujh ko meri zaat kay chungal say nikalo
girnay lagi hoon bhanwar main koi to bacha lo

Aye kash meri bhatkee sochon ko rah milay
tootay huay wajood ko tum aisay sambhalo

Nafrat kahin mujh ko ghairay main na lay lay
aye dost mere mujh say mujhe a kay chura lay

Duniya ki nigahon main raqabat hai ziyada
jo ho sakay to jaan mujhe duniya say chupa lo

Jab kuch na ban sakay to bus itna hi kar do
yun chheeno mujhe sab say mujhe apna bana lo

Tum Roth Jao Mujh Se



Tum Roth Jao Mujh Se
Aysa Kabhi Na KArna

Me Ek Nazar Ko Tarsooooon
Aysa Kabhi na Karna

Me Poch Poch Harron
So So Sawal K

Tum Kuch Jawab Na Do
Aysa Kabhi Na Karnaaaaa

Mujh Se Hi Mil K Hasna
Mujh Hi Se Mil K Rona

Mujh Se Bichar K Je Lo
Aysa Kabhi Na Karna

Tum Chand Ban K Rehna
Me Dekhte Rahoogi

Kisi ROoz Tum Na Niklo
Aysa Kabhi Na Karna

Tum Chali Jao Jub Bhi
Tu Dekho Tumhara Rasta

Tum Lout K Na Aao
Aysa Kabhi Na Karna

Na Mil Saka Wo Baywafa



Na Mil Saka Wo Baywafa
Yeh Bare Ajeeb Si Baat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai...
Wo Roshni Kay Khayal Main
Wo Na Asaka Raah Mian Muntazir
Yeh Khalish Kahan Thi Visaal Main
Mere Justojoo Ko Khabar Nahi
Na Wo Din Rahay Na Wo Raat Rahay
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai..
Kary Pyar Lab Pay Koi Gila Na Hoo
Yeh Kissi Kissi Ka Naseeb Hai
Yeh Karam Hai Uski Jafa Nahi
Wo Juda Bhi Rehkay Qareeb Hai
Wo Aankh Hai Mere Ru Baru
Ussi Haath Mein Mera Haath Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Mere Saath Hai
Mera Nam Tak Jo Na Lay Saka
Jo Mujhay Qarar Na Day Saka
Jissay Ikhtiyaar Tau Tha Magar
Mujhay Apna Pyar Na Day Saka
Wohi Shakhs Mere Talassh Hai
Wohi Dard Mere Hayaat Hai
Jo Chala Gaya Mujhay Chor Kar
Wohi Aaj Tak Meray Saath Hai

Teri Talash Mein Hum



Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hai, 
Ek Ajnabi Ki Tarah Raaste Badalte Hai, 

Daraaz Ho Gam-E-Hijraan Ki Haasil-E-Hijraan,
Wo Hausle Hai Jo Aagosh-E-Gam Mein Palte Hai, 

Rawa Nahi Hai Gam-E-IshQ Is Kadar Bhi Gurur, 
Tere Bagair Bhi Duniya Ke Kaam Chalte Hai, 

Kabhi Jo Had Se Badhi Unki Yaad To Samjhe, 
Ke Unke Dil Mein Bhi Kuch Valvale Machalte Hai, 

Shab-E-FiraaQ Kuch Aisi Bhi Teergi To Nahi, 
Kabhi Kabhi Sar-E-Mizgaan Charag Jalte Hai, 

Ab Unke Gam Se Bhi Mehroom Ho Na Jaye Kabhi, 
Wo Janate Hai Ke Is Gam Se Dil Behelte Hai...

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi




Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hai, 
Ek Ajnabi Ki Tarah Raaste Badalte Hai, 

Daraaz Ho Gam-E-Hijraan Ki Haasil-E-Hijraan,
Wo Hausle Hai Jo Aagosh-E-Gam Mein Palte Hai, 

Rawa Nahi Hai Gam-E-IshQ Is Kadar Bhi Gurur, 
Tere Bagair Bhi Duniya Ke Kaam Chalte Hai, 

Kabhi Jo Had Se Badhi Unki Yaad To Samjhe, 
Ke Unke Dil Mein Bhi Kuch Valvale Machalte Hai, 

Shab-E-FiraaQ Kuch Aisi Bhi Teergi To Nahi, 
Kabhi Kabhi Sar-E-Mizgaan Charag Jalte Hai, 

Ab Unke Gam Se Bhi Mehroom Ho Na Jaye Kabhi, 
Wo Janate Hai Ke Is Gam Se Dil Behelte Hai...

Hawa Jab Teez Chalti Hai




Hawa Jab Teez Chalti Hai
Tumhari Yaad Aati Hai..
Jab Pattey Sar-Saratey Hain
Aur Ziker Tumhara Hota Hai....

Kabhi Bholey Sey Shab Ko
Meray Dil Main A Ker Dekho
Hai Aik Mahfil Sajji Hoti
Aur Ziker Tumhara Hota Hai...

Tumhin Kesay Bataoon Kitni Chahat
Main Nay Ki Hai Tum Sey
Kay Jab Bhi Aansoo Chhalaktey Hain
Aur Ziker Tumhara Hota Hai......

Kabhi Chanda Ko Main Dekhon
Kabhi Tarey Main Gintta Hoon
Kabhi Chandni Muskurati Hai
Aur Ziker Tumhara Hota Hai....

Zamana Hai Bohat Zalim
Kahin Yeh Cheen Na Lay Tum Ko
Isi Liyey Main Buss Khamosh Hota Hoon
Aur Ziker Tumhara Hota Hai...

mujhay us shaks ki parwa




mujhay us shaks ki parwa
 bohot hai
jo samjho to yehi rishta bohot hai

wohi aik baat jo sab se chupai
usi ik baat ka charcha bohot hai

wo mere paas kab thehra hai akhir
jo mere paas say guzra bohot hai !!


meri khuwahish kabhi puri na hogi
mujhay is baat ka sadma bohot hai



kisi ko bhoolna mumkin nahi hai
wagarna hum ne to chaha bohot hai


kahan tak aur mera saath daiga
vo pehlay hi yahan ruswa bohot hai

tere jaisa koi milta nahi hai
tere jaisa magar dhoonda bohot hai

chalo ab mout ka samaan kar lain
keh jeena to yahan mehenga bohot hai

Suna hoga bohot tum ne




Suna hoga bohot tum ne
Kahein aankhon ki rim jhim ka
Kahein palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohot tumne
Kahein lehjay ki barish ka
Kahein sagar ke aanso ka
Magar tum ne kabhi humdam
Kahein daikhay? Kahein parkhay?
Kisi tehreer ke aansoo?
Mujhe teri judaai ne
Yehi miraag bakhshi hai
Keh main jo lafz likhta hoon
Who saray lafz rotay hein
Ke mein jo harf bunta hoon
Who saray bain kartay hein
Mere sang es judaai mein
Mere alfaz martay hein
Sabhi tareef kartay hein
Meri tehree ki lekin
Kabhi koi nahi suntan
Mere alfaz ki siski
Falak bhi jo hila daalay
Mere lafzon mein hain shamil
Usi taseer ke aansoo

Kabhi daikho mere humdum
Meri tehreer ke Aansoo....!!!

mere yado ne usay


mere yado ne usay khoob rulaya hoga
baat bay baat ankh us ki jo chhalakti hogi
us ne chehre ko bazo-on mai chhupaya hoga
socha hoga us ne din may qaye baar mujhe
naam haathele pe bhi likh likh k mitaya hoga
jaha us ne mera zikr suna hoga kisi se
us ki ankho mai koi anso tou aya hoga
raat k bhegne tak neend na aye hogi tujhe
tu ne takeye ko bhi senay se laagya hoga
ho k nidhal mere yado se tu ne jana
mere tasveer pe sar apna tikaya hoga
poocha hoga jo kisi ne tere halat ka sabab
tu ne bato mai khub us se chhupaya hoga
jab kabhi chand ko dekha akele tu ne
tujhe Meira saath bara yaad aya hoga

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...