Suna hoga bohot tum ne




Suna hoga bohot tum ne
Kahein aankhon ki rim jhim ka
Kahein palkon ki shabnam ka
Parha hoga bohot tumne
Kahein lehjay ki barish ka
Kahein sagar ke aanso ka
Magar tum ne kabhi humdam
Kahein daikhay? Kahein parkhay?
Kisi tehreer ke aansoo?
Mujhe teri judaai ne
Yehi miraag bakhshi hai
Keh main jo lafz likhta hoon
Who saray lafz rotay hein
Ke mein jo harf bunta hoon
Who saray bain kartay hein
Mere sang es judaai mein
Mere alfaz martay hein
Sabhi tareef kartay hein
Meri tehree ki lekin
Kabhi koi nahi suntan
Mere alfaz ki siski
Falak bhi jo hila daalay
Mere lafzon mein hain shamil
Usi taseer ke aansoo

Kabhi daikho mere humdum
Meri tehreer ke Aansoo....!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...