Us ki Aankhon mai



Us ki Aankhon mai Mohabbat ka Sitara hoga
Ek Din aayega wo Shakhs Hamara hoga

Jis ke hone se Meri Saaasein chala karti thi
Kis tarha us ke Bagair apna guzara hoga

Ye achanak jo Ujala sa ho jata hai
Dil ne chupke se Tera Naam pukara hoga

Ye jo Paani mai chala aya Sunehri sa Guroor
Is ne Darya mai kahin Paoon utara hoga

Kon Rota hai yahan Raat k sannaton mai
Mere jesa hi koi Hijr ka mara hoga

zindagi! ab k mera naam na shamil karna
ger ye tay hai k yehi khail dobara hoga.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...